sakht wahshi hun bila-wajh biphar jata hun is liye apni taraf jaun to dar jata hun ek hi tarz ki wahshat se bhare rahte hain main agar dasht nahin jata to ghar jata hun chaar chhe inch ki duri se mera saya mujhe ek sada deta hai main bar-e-digar jata hun baz auqat udasi ko manane ke liye apne hone ki dalilon se mukar jata hun lafz bunte hue aata hun sadak par aur phir jaane kya dhyan mein aata hai thahar jata hun ghar se daftar gaya daftar se ghar aaya ab dasht waise banta to nahin jaana magar jata hun