sabir-o-shakir rahe shadan rahe khush rahe jis haal mein insan rahe tum ko aaine mein kya aaya nazar misl-e-aina jo tum hairan rahe us mohabbat ka bura ho ishq mein chaar din bhi to na hum shadan rahe the wo husn-o-ishq ke raaz-o-niyaz qaid zindan mein mah-e-kanan rahe tum nahin ho to tumhaari yaad hai khana-e-dil kis liye viran rahe qatl kar ke hum ko wahin munfail aur hum sharminda-e-ehsan rahe mai se tauba us ghata mein mohtasib kyun farishta ban ke har insan rahe khil ke kaliyan de rahi hain ye sabaq aadmi kanton mein bhi khandan rahe bagh mein do din ko aai hai bahaar misl-e-shabnam koi kyun giryan rahe mere sine mein jo the ulfat ke dagh roz-e-raushan ki tarah taban rahe kya haram kya dair hain jhagdon ke ghar un se 'shankar' dur hi insan rahe