raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin yun agar sochun to ek ek naqsh hai sine pe naqsh hae wo chehra ki phir bhi aankh mein banta nahin kyun udati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hawa main agar ek shakh se tuta hua patta nahin aaj tanha hun to kitna ajnabi mahaul hai ek bhi raste ne tere shahr mein roka nahin harf barg-e-khushk ban kar tutte girte rahe ghuncha-e-arz-e-tamanna hont par phuta nahin dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab saikadon logon ko roka ek bhi thahra nahin shabnami aankhon ke jugnu kanpte honton ke phul ek lamha tha jo 'amjad' aaj tak guzra nahin