sharab-e-nab ka qatra jo saghar se nikal jae tadap ke dil mera qabu-e-dil-bar se nikal jae khushi mein kah raha hun aamad aamad hai jo us gul ki koi kah de ki virani mere ghar se nikal jae satate hain raqib aa aa ke main go chhup ke baitha hun ajab ye zulm hai koi kidhar ghar se nikal jae agar sun le ki tere sakht-jaan ki bari aa pahunchi simat kar aab-e-khanjar chashm-e-jauhar se nikal jae nikalo roz ghar se dar nahin lekin ye hai dhadka ki mera nam hi ek din na daftar se nikal jae ghata ke main ne apna shauq-e-dil likkha hai jaanan ko ki udne mein na khat aage kabutar se nikal jae na jaane ki karo jaldi ki qissa khatm hota hai thahar jao zara dam jism-e-laghar se nikal jae qafas mein dam mein mere phadakne ka ye bais hai hawa parwaz karne ki mere par se nikal jae ijazat abr ko dar par thaharne ki nahin dete bas itna hukm hai aa ke faqat barse nikal jae 'rashid'-e-sokhta-dil sar patakne par hai aamada kaho har ek sharar se jald patthar se nikal jae