tha abas KHauf ki aaseb-e-guman main hi tha

tha abas khauf ki aaseb-e-guman main hi tha
mujh mein saya sa koi aur kahan main hi tha

sab ne dekha tha kuchh uthta hua mere ghar se
phailta aur bikharta wo dhuan main hi tha

sach tha wo zahr gawara hi kisi ko na hua
talkhi-e-zaiqa-e-kaam-o-ziyan main hi tha

khud hi pyasa tha bhala pyas bujhata kis ki
sar pe suraj ko liye abr-e-rawan main hi tha

dar pe ek qufl-e-pur-asrar pada tha 'farrukh'
bhed khulta bhi to kaise ki makan main hi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close