raat nadida balaon ke asar mein hum the khauf se sahme hue sog-nagar mein hum the panw se lipti hui chizon ki zanjiren thin aur mujrim ki tarah apne hi ghar mein hum the wo kisi raat idhar se bhi guzar jaega khwab mein rahguzar rahguzar mein hum the ek lamhe ke jazire mein qayam aisa tha jaise anjaane zamanon ke safar mein hum the dub jaane ka saliqa nahin aaya warna dil mein girdab the lahron ki nazar mein hum the