zamin par raushni hi raushni hai khala mein ek kiran gum ho gai hai main tanha ja raha hun su-e-manzil ye parchhain kahan se aa rahi hai ye sham aur raushni ki ye qataren udasi aur gahri ho gai hai uruj-e-mah hai aur maqbaron par abad ki chandni chatki hui hai ubhaar ai mauj-e-tufan-khez mujh ko ye kashti ret mein dubi hui hai hawa se hai kali jumban sar-e-shakh ye kin hathon mein neze ki ani hai gira hai shakh-e-gul se ek pata kisi ne kya mujhe aawaz di hai