raftagan mein jahan ke hum bhi hain sath us karwan ke hum bhi hain shama hi sar na de gai barbaad kushta apni zaban ke hum bhi hain hum ko majnun ko ishq mein mat bujh nang us khandan ke hum bhi hain jis chaman-zar ka hai tu gul-e-tar bulbul is gulsitan ke hum bhi hain nahin majnun se dil qawi lekin yar us na-tawan ke hum bhi hain bosa mat de kisu ke dar pe nasim khak us aastan ke hum bhi hain go shab us dar se dur pahron phiren pas to pasban ke hum bhi hain wajh-e-beganagi nahin malum tum jahan ke ho wan ke hum bhi hain mar gae mar gae nahin to nahin khak se munh ko dhanke hum bhi hain apna shewa nahin kaji yun to yar ji tedhe banke hum bhi hain is sire ki hai parsai 'mir' mo'taqid us jawan ke hum bhi hain