raaz ubal pade aakhir aasman ke sinon se rabt is zamin ko hai aur bhi zaminon se kaun sa jahan hai ye kaise log hain is mein uthta hai dhuan har dam dil ke aabginon se har bashar hai fariyaadi har taraf andhera hai mehr-o-mah nahin nikle shahr mein mahinon se ek taraf zabanon par dosti ke nare hain ek taraf tapakta hai khun aastinon se muflison ki basti mein wusaten hain duniya ki aap utar ke dekhen to apni shah-nashinon se na-khuda ki himmat ka imtihan leti hai warna kad nahin kuchh bhi mauj ki safinon se tajrabon ki duniya mein ahl-e-ilm-o-hikmat ko rifaten milin 'farhat' fikr-o-fan ke zinon se