raaz-e-dil jo teri mahfil mein bhi ifsha na hua ya sar-e-dar hua ya sar-e-mai-khana hua ek hum hain ki tasawwur ki tarah sath rahe ek tu hai ki jo khalwat mein bhi tanha na hua kya bharosa hai tere lutf-o-karam ka ai dost jis tarah saya-e-diwar hua ya na hua shabnamistan mein utar aai thi suraj ki kiran aaina-khana-e-gul tha ki sanam-khana hua is qadar ranj sahe dil ne wafa mein 'khatir' aaj wo hum se jo bichhde bhi to sadma na hua