tumhein pasand hai tanha safar ziyaada-tar yahi raha mere pesh-e-nazar ziyaada-tar guman ki laut ke aa jaenge kisi saat usi guman ne ujade hain ghar ziyaada-tar gurez ke koi lamhe bhi aa gae honge tumhaari yaad rahi ham-safar ziyaada-tar dikhai deti hain kab khud ko khamiyan apni fareb khati hai apni nazar ziyaada-tar kahan maqam wo hota hai sar jhukane ka wo jis maqam pe jhukte hain sar ziyaada-tar ye e'tibar ki duniya bhi khub duniya hai ki mo'atabar bhi hai na-mo'tabar ziyaada-tar 'naim' kaam kiye kam hi kaam ke hum ne abas guzare hain sham-o-sahar ziyaada-tar