sar jaziron ke phir se ubharne lage wo jo pani chadhe the utarne lage ab kisi dost se koi shikwa nahin waqt ke sath sab zakhm bharne lage hum ne mazi mein thukrai hain manzilen raste mein kahan hum thaharne lage mauj-dar-mauj khushki thi pesh-e-nazar shor andar ke dariya bhi karne lage aise kya jurm sarzad hue arz par log apne hi sae se darne lage aaj phir aap laghar hain suraj miyan dhup mein log phir se thithurne lage kaun se mansabon ki mohabbat mein hum apne mansab se niche utarne lage tum ne sahra mein chhode the jo naqsh-e-pa aaj wo aandhiyon mein bikharne lage