rah-rawi hai na rahnumai hai aaj daur-e-shikasta-pai hai aql le aai zindagi ko kahan ishq-e-nadan teri duhai hai hai ufuq dar ufuq rah-e-hasti har rasai mein na-rasai hai shikwe karta hai kya dil-e-nakaam aashiqi kis ko ras aai hai ho gai gum kahan sahar apni raat ja kar bhi raat aai hai jis mein ehsas ho asiri ka wo rihai koi rihai hai karwan hai khud apni gard mein gum panw ki khak sar pe aai hai ban gai hai wo iltija aansu jo nazar mein sama na pai hai barq nahaq chaman mein hai badnam aag phulon ne khud lagai hai wo bhi chup hain khamosh hun main bhi ek nazuk si baat aai hai aur karte hi kya mohabbat mein jo padi dil pe wo uthai hai nae safi mein ho na aalaish yahi 'mulla' ki parsai hai