waqt ek dariya hai dariya sab baha le jaega hum magar tinke hain hum tinkon se kya le jaega ek ajab aashob hai kyun bastiyon mein jalwagar kya ye har insan se khauf-e-khuda le jaega hai to khurshid-e-haqiqat par bada be-mehr hai dil se jazbe aankh se aansu chura le jaega boriye par baithne ka lutf hi kuchh aur hai shahryar-e-asr is takiye se kya le jaega har guzargah-e-tamanna par bahut si gard hai lekin is ko ek hi jhonka uda le jaega aafiyat ke daeron mein yar sare band hain koi mausam koi tufan us se kya le jaega