raaz-e-nihan thi zindagi raaz-e-nihan hai aaj bhi wahm-o-guman mein thi wahm-o-guman hai aaj bhi kal bhi nawa-e-agahi qimat-e-sang-o-khisht thi naghma-e-amn-o-ashti jins-e-giran hai aaj bhi dil se to roz-o-shab hui lakh tarah ki guftugu tishna-e-guftugu magar apni zaban hai aaj bhi khak mein jazb ho gaya tere shahid ka lahu matla-e-kaenat par surkh dhuan hai aaj bhi ishq ko nind aa gai waqt pe os pad gai apne junun ke dasht mein dhup jawan hai aaj bhi waqt ki dastaras nahin bazm-e-gah-e-khayal tak rukh pe ghubar hi sahi yaad jawan hai aaj bhi kal bhi rukh-e-hayat par rang-e-shaguftagi na tha subh-e-bahaar-e-zindagi sham-e-khizan hai aaj bhi kal bhi zaban-o-nutq ko khauf-e-sinan-e-saif tha naqd-o-nazar ko dahshat-e-tir-o-kaman hai aaj bhi 'darshan'-e-tishna-kaam par ek nigah saqiya shoala-bayan ye kal bhi tha shoala-bayan hai aaj bhi