raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai phir koi le ke bahaaron ka payam aaya hai baada-khwaran-e-fana badh ke qadam lo us ke le ke saghar mein jo sahba-e-dawam aaya hai main ne sikha hai zamane se mohabbat karna tera paigham-e-mohabbat mere kaam aaya hai rahbar-e-jada-e-haq nur-e-khuda hadi den le ke khaliq ka zamane mein payam aaya hai teri manzil hai buland itni ki har sham-o-sahar chand-suraj se tere dar ko salam aaya hai ho gaya teri mohabbat mein giraftar to phir taer-e-ruh bhala kab tah-e-dam aaya hai khud-ba-khud jhuk gai peshani-e-arbab-e-khudi ishq ki rah mein aisa bhi maqam aaya hai aasiyo shukr ki ja hai ki ba-faiz-e-khaliq hum gunahgaron ki bakhshish ka payam aaya hai haram-o-dair ke logon ki khushi kya kahna banda-e-khaliq-o-dil-dada-e-ram aaya hai tishna-kaaman-e-nazara ko ye muzhda de do be-naqab aaj koi phir sar-e-baam aaya hai ho mubarak tumhein rindo ki ba-taid-e-khuda koi chhalkata hua shisha-o-jam aaya hai jab kabhi gardish-e-dauran ne sataya hai bahut tere rindon ki zaban par tera nam aaya hai ahl-e-maghrib ko pila kar mai-e-irfan 'darshan' phir se mashriq ki taraf arsh-maqam aaya hai