raaz-e-ulfat ahl-e-duniya ko jo samjhane gae

raaz-e-ulfat ahl-e-duniya ko jo samjhane gae
dar-khur-e-dar-o-rasan wo log gardane gae

'sarmad'-e-jaan-baz tha isa tha ya 'mansur' tha
shama ki lau tak yahi do-chaar parwane gae

mai-kade ka mai-kada ruswa-e-alam ho gaya
jis kisi kam-zarf tak labrez paimane gae

ahl-e-aql-o-hosh ne kya kya na tode un pe zulm
us pe bhi sau sau duaen de ke diwane gae

nau-e-insan ko mile jin se mai-e-ulfat ke jam
ab kahan ai saqi-e-raana wo mai-khane gae

mai-kade hi mein mila kuchh teri hasti ka nishan
dair-o-kaba mein bhi yun to tere diwane gae

'sabir'-e-nadan na samjha ishq ke anjam ko
jaane kitni bar us ko hum bhi samjhane gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close