tadap mein bhi maza aane laga hai gham ke maron ko khayal-e-sarkhushi bahka na de in sogwaron ko gulistan jo banana chahte the kharzaron ko unhin ki shokh-gami raundti hai lala-zaron ko saadat chahta tha kal falak bhi jin ke sajdon ki bagule dhundte phirte hain aaj un ke ghubaron ko mai-o-kausar ki khatir jab ye khud sajdon mein girta hai to kis munh se bura kahta hai zahid mai-gusaron ko rumuz-e-ishq se koi use aagah kar deta jala kar hans rahi hai shama apne jaan-nisaron ko ata kar di mere husn-e-nazar ne shan-e-yaktai jahan mein kaun warna puchhta tha gul-'izaron ko na dekhe ja sake jo tur par mushtaq nazron se ba-chashm-e-shauq hum ne khub dekha un nazaron ko azal se jo fana ka khauf le kar sahme baithe hain talatum-ashna karta hai 'sabir' un kinaron ko