raaz ka bazm mein charcha kabhi hone na diya hum ne apne ko tamasha kabhi hone na diya hum ko is gardish-e-dauran ne kahin ka na rakha phir bhi lahje ko shikasta kabhi hone na diya mai-kade mein bade kam-zarf the pine wale aankh ko saghar o mina kabhi hone na diya dil mein ek dard ka tufan chhupae rakkha aankh se raaz ko ifsha kabhi hone na diya roz jalna hai use roz jalana hai use aatish-e-shauq ko thanda kabhi hone na diya umr rishton ke taqaze hi nibhate guzri zindagi ne mujhe apna kabhi hone na diya sab se mahfuz maqam-e-gham-e-tanhai hai fikr-e-duniya ne akela kabhi hone na diya