rah mein ghar ke ishaare bhi nahin niklenge chand duba to sitare bhi nahin niklenge dubne ke liye sahil pe khada hun main bhi bandishen tod ke dhaare bhi nahin niklenge thahar ai sail-e-rawan warna ye basti hi nahin tere gharqab kinare bhi nahin niklenge meri basti badi muflis hai magar ai hatim log yun hath pasare bhi nahin niklenge tum ajab log ho aangan ke liye rote ho ab makanon mein usare bhi nahin niklenge raat bhar jag ke hum ne jo kamai ki hai us se to din ke khasare bhi nahin niklenge tum bhi 'ghaalib' ki tarah lakh jatan kar lo 'shakil' sare arman tumhaare bhi nahin niklenge