shaikh o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib bech len fauran dair-o-haram bhi paen kahin gar dam munasib mera to har ek fel abas hai ghair ka har iqdam munasib waqia ye hai piw jise chahen us ka suhagan nam munasib waqt ka paiham yun hai taqaza rahbar-e-sad-sala ko hata do jaise purani chiz ka akasr hota hai nilam munasib khauf hai din ko dekhe na duniya ho na taqaddus aap ka ruswa qasd hai mai-khane ka jo waiz is ke liye hai sham munasib tere taghaful ne kiya zakhmi teri adaon ne hamein mara chahne walon ke liye zalim the yahi atom-baam munasib tujh ko khabar kya is ki nahin hai sathi kahan se pahunche kahan tak hosh mein aa aaram ke bachche ab hai nahin aaram munasib ye teri sada-lauhiyan naseh rang kisi din la ke rahengi khub banegi teri hajamat mil gae gar hajjam munasib sim-o-jawahar mah-laqa le apni harim-e-naz saja le khub maze duniya ke uda le hain abhi ye ayyam munasib baat bhi un se ki na kisi ne aarzu dil ki rah gai dil mein ghar mein hi baithi rah gai ladki aaya na ek paigham munasib shaikh o barhaman se koi kah de rukh na karen bhule se udhar ka ye hai mai-khana nahin is mein dakhila-e-ayyam munasib jaur-o-sitam dhane mein jo paiham aaya hai un ke rukh pe pasina hai mere armanon ke nahane ke liye ye hammam munasib baat koi izhaar-e-haqiqat mein bhi utha rakhna nahin zalim 'shauq' kabhi ashaar mein jaise hota nahin ilham munasib