shuur-o-fikr ki tajdid ka guman to hua chalo ki fan ka ufuq kisht-e-zafran to hua bala se le udi mujh ko shua-e-nur-e-sahar fasil-e-shab se guzar kar main be-karan to hua ye kam nahin hai ki main hun khalaon ka hamraaz mere wajud mein gum sara aasman to hua ye thik hai ki fana ho gaya wajud us ka magar wo qatra samundar ka raaz-dan to hua tamam harf-o-nawa mein simat gaya lekin hamara gham bhi bikhar kar gham-e-jahan to hua junun-e-shauq to maslub ho gaya lekin har ek lamha mah-o-sal par garan to hua hamare sath hi bikhra hamari zat ka karb ye raaz lafzon ke ambar se ayan to hua main un ke samne aaina ban gaya 'farhat' khud apni shakl pe un ko mera guman to hua