zindagi ke kaise kaise hausle pathra gae aarzu se chal ke tark-e-arzu tak aa gae yaad hai itna ki ubhra tha koi aks-e-jamil aur phir yaadon ke sare aaine dhundla gae mere mazi ke chaman mein the jo kuchh yaadon ke phul rafta rafta zindagi ki dhup mein kumhla gae zindagi bhi hai tumhaare gham ke pas-e-manzar ki den jab bhi main jine se tang aaya hun tum yaad aa gae