rache-base hue lamhon se jab hisab hua gae dinon ki ruton ka ziyan sawab hua guzar gaya to pas-e-mauj be-kanari thi thahar gaya to wo dariya mujhe sarab hua supurdagi ke taqaze kahan kahan se padhun hunar ke bab mein paikar tera kitab hua har aarzu meri aankhon ki raushni thahri charagh soch mein gum hain ye kya azab hua kuchh ajnabi se lage aashna dariche bhi kiran kiran jo ujalon ka ehtisab hua wo yakh-mizaj raha faslon ke rishton se magar gale se lagaya to aab aab hua wo ped jis ke tale ruh gungunati thi usi ki chhanw se ab mujh ko ijtinab hua in aandhiyon mein kise mohlat-e-qayam yahan ki ek khema-e-jaan tha so be-tanab hua salib-e-sang ho ya pairahan ke rang 'nasir' hamare nam se kya kya na intisab hua