raegan auqat kho kar haif khana hai abas khub-ruyon se jahan ke dil lagana hai abas kargar hoga tera afsun ye bawar hai tujhe us pari par ai dil-e-wahshi diwana hai abas jite phir aane ki pahle rakh tawaqqo dil se dur warna kuche mein sitam-garon ke jaana hai abas khak ho kar ek surat hai gada-o-shah ki gar muafiq tujh se ai munim zamana hai abas yaad kis ko rahm ji mein kab dimagh-o-dil kahan yan na aane ka mere sahab bahana hai abas dil-shikan hai subh-dam tera hi gulchin bagh mein aashiyan ai andalib us ja banana hai abas ai gul-e-khandan sabaat-e-umr hai shabnam se kam yan bahaar-e-rang par hansna hansana hai abas wan phire hain tarkash-e-mizhgan talash-e-said par yan tera dil tir-e-hasrat ka nishana hai abas aabru kahte hain jis ko hai 'muhib' ek qatra aab jab dhalak jawe to phir us ka uthana hai abas