tere shikwon se jaur-e-asman tak baat aa pahunchi

tere shikwon se jaur-e-asman tak baat aa pahunchi
kahan se ibtida ki thi kahan tak baat aa pahunchi

mohabbat mein hamare imtihan tak baat aa pahunchi
jahan rukne lage dam bhi wahan tak baat aa pahunchi

chaman mein aag lagne ka bhi sadma kam na tha mujh ko
tadap ai dil ki ab to aashiyan tak baat aa pahunchi

hua aaghaz qatre se magar ye bahs bil-akhir
badhi itni ki bahr-e-be-karan tak baat aa pahunchi

khuda jaane meri tauba ka ab anjam kya hoga
janab-e-shaikh se pir-e-mughan tak baat aa pahunchi

kuja wo din ki ganj-e-be-baha samjha mohabbat ko
kuja ye din ki jins-e-raegan tak baat aa pahunchi

yaqin tha hum ko raaz ifsha adu hi ne kiya hoga
bahut nadim hue jab raaz-dan tak baat aa pahunchi

na main ab dil ki sunta hun na dil ab meri sunta hai
tumhaari mehrbani se yahan tak baat aa pahunchi

nahin bhi munh se kahna jin ko 'sahir' bar hota hai
ghazab hoga kabhi jo un ki han tak baat aa pahunchi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close