rafta rafta sab manazir kho gae achchha hua shor karte the parinde so gae achchha hua koi aahat koi dastak kuchh nahin kuchh bhi nahin bhuli bisri ek kahani ho gae achchha hua ek muddat se hamare aaine pe gard thi aansuon ke sail us ko dho gae achchha hua bekali koi na thi to dil bada be-zar tha ab hawadis dard is mein bo gae achchha hua rang apna ho numayan shauq beja tha hamein raston ki dhul mein hum kho gae achchha hua be-sabab rota tha 'fikri' aur rulata tha hamein ab zamana ho gaya us ko gae achchha hua