tere jamal ka partaw mere bayan mein kahan wo dilkashi meri be-rabt dastan mein kahan kahan wo phul jinhen zinat-e-chaman kahiye hari bhari koi ab shakh gulsitan mein kahan sukun-e-dil ki talab kis jagah mujhe lai sukun-e-dil bhala is shahr-e-be-aman mein kahan khud apne ghar ka pata puchhna pada mujh ko bahak kar aa gaya ujde hue makan mein kahan wo rut gai meri diwangi ki umr ke sath bahaar jaisi faza mausam-e-khizan mein kahan koi talab na koi aarzu na koi hawas ye be-niyazi-e-fitrat bhi ins-o-jaan mein kahan uthae phirta hai kyon bojh zindagi ka 'asar' sakat ab itni tere jism-e-na-tawan mein kahan