tere baghair dil-o-jaan ki khairiyat kaisi jo baadshah nahin hai to saltanat kaisi wo jis ki nasl mein iman bhi tijarat hai batao aise qabile ki maghfirat kaisi panah dhup ke sahra mein dhundne walo jahan makan hi nahin hai wahan pe chhat kaisi hamara nam hi jab baghiyon mein likkha hai adalaton se phir apni musalahat kaisi kiye hain khun se jangal ne dastakhat jis par laga hisab ki hogi wo shahriyat kaisi