tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe

tu ne nazron ko bacha kar is tarah dekha mujhe
kyun na kar jata bhari mahfil mein dil tanha mujhe

shakh-dar-shakh ab koi dhunda kare patta mujhe
main to khud tuta hun aandhi ne nahin toda mujhe

laghzish-e-pa ne diya har rah mein dhoka mujhe
ta-dar-e-manzil tu hi ai jazb-e-dil pahuncha mujhe

surat-e-aina hairat se wo takta rah gaya
aaina-khane mein jis ne ghaur se dekha mujhe

mar hi dalegi ek din karobar-e-zist mein
tang-damani teri ai wusat-e-duniya mujhe

umr-bhar milti rahi teri adalat se na puchh
meri na-karda-gunahi ki saza kya kya mujhe

barg-e-gul par raqs-e-shabnam ka ye manzar ai 'ziya'
ab to aata hai nazar har qatre mein dariya mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close