shokhi-e-dard-e-dil-e-zar gul-e-naghma hai us ka har lahja-e-guftar gul-e-naghma hai soi soi si khalaon ko ham-aghosh karo qulzum-e-zakhm se bedar gul-e-naghma hai khwab-e-imkan-e-wafa hai wo mujassam koi hum hue jis ke parastar gul-e-naghma hai chandni ki hai nai shama shagufta pur-nur sar-ta-pa ishq ka shahkar gul-e-naghma hai chand suraj ye sitare hain sharare us ke us ki angdai to anwar gul-e-naghma hai shash-jihat us ke hain auraq-e-ziya odhe hue muskuraata hua sansar gul-e-naghma hai mauj-dar-mauj badan karta hai jadu jaise har ada us ki pur-asrar gul-e-naghma hai aaina si hai wo doshiza mohabbat ki misal hont shoala hai to rukhsar gul-e-naghma hai rishta-e-ruh ne bandha hai hamein kis ke 'nadim' main qalandar hun mera yar gul-e-naghma hai