rah-e-wafa mein jo bhi koi ja-nashin bane tujh sa bane to khair hai mujh sa nahin bane shayad hamare waste koi nahin bana shayad kisi ke waste hum bhi nahin bane sari zamin ke waste ek aasman bana so aasman ke waste hum bhi makin bane sab husn ban chuke hain tu sab se hasin hai shayad jahan mein ab koi tujh sa hasin bane meri khushi ke waste meri lahad wahin us ki lahad ke pas hi bilkul wahin bane tera badan ho barishon ki ki bund ki tarah mera badan so us ke liye sar-zamin bane shayad tumhaare waste ek main hi hun bana shayad hamare waste ek ho tumhin bane