tan-badan se jaan hi to sirf uDa le jaegi

tan-badan se jaan hi to sirf uda le jaegi
zindagi se maut aa kar aur kya le jaegi

jis tarah meri khushi leti gai wo chhin kar
gardish-e-haalat ye gham bhi utha le jaegi

meri jis aawaz ko rahna hai mere baad bhi
kya zamane ki hawas us ko chura le jaegi

kaam agar kuchh bhi na aaega mera zabt-e-alam
wahshat-e-dil hi meri haalat sanbhaale jaegi

rang jin ka sabz hai wo kab girenge ped se
dhup ki rut zard patte hi uda le jaegi

zist ko 'nadim' usi dam hi milega kuchh qarar
dard-e-dil se dard-e-sar ki jab dawa le jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close