tabiat be-niyaz-e-lazzat-e-gham hoti jati hai kisi se kya meri dil-bastagi kam hoti jati hai nazar tum ne chura li tum kisi surat nahin milte isi se ibtida-e-dard-e-paiham hoti jati hai wo shai jis ko ba-rang-e-ishq main tiryaq samjha tha wahi shai aaj mere waste sam hoti jati hai ye dil tut tha jab se ashk aankhon mein nahin thamte meri hasti gham-e-ulfat ki mahram hoti jati hai ye duniya ishq ki duniya hai yan dil ki hukumat hai mohabbat yan har ek shai par muqaddam hoti jati hai samae ja rahe hain tere jalwe meri aankhon mein teri hasti meri hasti mein mudgham hoti jati hai widaa-e-fasl-e-gul nazdik hai ai 'auj' ab shayad wagarna kyon meri diwangi kam hoti jati hai