rah ki kuchh to rukawat yar kam kar dijiye aap apne ghar ki ek diwar kam kar dijiye aap ka aashiq bahut kamzor dil ka hai huzur dekhiye ye shiddat-e-inkar kam kar dijiye main bhi honton se kahunga kam karen jalne ka shauq aap agar sargarmi-e-rukhsar kam kar dijiye ek to sharm aap ki aur us pe takiya darmiyan donon diwaron mein ek diwar kam kar dijiye aap to bas kholiye lab bosa dene ke liye bosa dene par jo hai takrar kam kar dijiye raat ke pahlu mein phaila dijiye zulf-e-daraaz yunhi kuchh tul-e-sab-e-bimar kam kar dijiye ya idhar kuchh tez kar dije gharon ki raushni ya udhar kuchh raunaq-e-bazar kam kar dijiye wo jo pichhe rah gae hain tez-raftari karen aap aage hain to kuchh raftar kam kar dijiye hath mein hai aap ke talwar kije qatl-e-am han magar talwar ki kuchh dhaar kam kar dijiye bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man baqi sab jazbaat ka izhaar kam kar dijiye shairi tanhai ki raunaq hai mahfil ki nahin 'farhat-ehsas' apna ye darbar kam kar dijiye