uf re ubhaar uf re zamana uthan ka kal baam par the aaj hai qasd aasman ka rona likha nasib mein hai apni jaan ka shikwa na aap ka na gila aasman ka bazar mein bhi chalte hain kothon ko dekhte sauda kharidte hain to unchi dukan ka ye bhi khuda ki shan hum ab aise ho gae saya bhi bhagta hai tumhaare makan ka kyun gham-nasib dil ko bura kah rahe ho tum kyun sabr le rahe ho kisi be-zaban ka waiz sharab-khane mein kholega kya zaban hum khub jaante hain wo tarra hai than ka hum jam-e-mai ke bhi lab-e-tar chuste nahin chaska pada hua hai tumhaari zaban ka main dil ki wardat to kahne ko kah chalun kis ko yaqin aaega mere bayan ka ye to kaha tujhe ho lahu thukna nasib tum ne kabhi diya koi tukda bhi pan ka main jaun ya na jaun unhen le ke baam par badla hua hai rang bahut aasman ka afsana tum ne qais ka shayad suna nahin tukda hai ek wo bhi meri dastan ka ab koi sina chir ke rakh le ki dil banae aaweza gir pada hai koi un ke kan ka aaya jo ghair-lutf bahut der tak raha badla tha main ne bhes tere pasban ka duniya ki pad rahi hain nigahen 'riyaz' par kis waza ka jawan hai kis aan-ban ka