turfa majun hai hamara yar ghair se ham-kanar hum se kanar hum kahen bagh chal to han na kahe ghair ke sath roz sair o shikar hum ko majlis mein dekh chup ho jae ghair se tok kar kare guftar hum ko dekhe kahin to aankhen churae ghair ko dekh kar aap se ho do-chaar ghair se saf sina ho ke mile hum se dil mein rakhe hamesha ghubar ghair jaur-o-jafa o be-mehri hum se is ka nahin hai aur shiar ghair ki baat sun ke khush howe hum se har baat mein kare takrar minnat-o-ijz-o-inkisar-o-niyaz karte karte hue bahut lachaar wo kisi tarah aashna hi nahin imtihan hum kiya hai chanden yar zara bhi kan dhar kabhu na sune dard-e-dil hum agar karen izhaar jaan aur mal de chuken us ko dil se jaane hamein agar gham-khwar jo rahe hum se roz begana sohbat aise se kaise ho barrar kar ilahi tu mehrban us ko jis ke pichhe hue hain zar-o-nizar gharaz ab shikwa kab talak kije chup hi rahna hai 'hatim' ab darkar