sang the pighle to pani ho gae hum wo chehre jo kahani ho gae khel hai ab har taraf taswir ka lafz sare be-maani ho gae baat karni thi hamein jis se bahut hum usi ki be-zabani ho gae chand qatre rah gae the aankh mein wo bhi dariya ki rawani ho gae sabz mausam aa gaya tha room mein aaine bhi dhani dhani ho gae aasman par rah ke bhi tum khak ho hum zamin par aasmani ho gae chhanw mein gautam ki kya baithe 'shakil' thode thode hum bhi gyani ho gae