rukh apna aaina mujh ko bana ke dekh liya meri nigah ke parde mein aa ke dekh liya jo dost the unhen dushman bana ke dekh liya zaban pe dil ki tamanna ko la ke dekh liya haqiqat-e-gham-e-hasti ke naqsh mit na sake tilism-khana-e-arman bana ke dekh liya wo be-khabar mere soz-e-jigar se phir bhi nahin har ek nigah pe parda gira ke dekh liya unhen qubul nahin ishq-e-raegan apna qadam qadam pe nigahen bichha ke dekh liya ab aur is se siwa chahte ho kya 'mulla' ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya