sawal-andar-sawal le kar kahan chale ho ye aasman-e-malal le kar kahan chale ho junun ke raste mein ye khudi bhi azab hogi khirad ka koh-e-wabaal le kar kahan chale ho kahan pe khologe dard apna kise kahoge kahin chhupao, ye haal le kar kahan chale ho naha rahe ho azab-e-hijran ki barishon mein zara si gard-e-visal le kar kahan chale ho sarab pine ki aarzu hai to jawab de do safar mein khwab-o-khayal le kar kahan chale ho chale ho jab to hamare mausam badal chuke hain suno ye mere wabaal le kar kahan chale ho