rakht-e-safar yunhi to na bekar le chalo rasta hai dhup ka koi diwar le chalo taqat nahin zaban mein to likh hi lo dil ki baat koi to sath surat-e-izhaar le chalo dekhun to wo badal ke bhala kaisa ho gaya mujh ko bhi us ke samne is bar le chalo kab tak nadi ki tah mein utaroge kashtiyan ab ke to hath mein koi patwar le chalo padti hain dil pe gham ki agar silwaten to kya chehre pe to khushi ke kuchh aasar le chalo jitne bhanwar kahoge pahan lunga jism par ek bar to nadi ke mujhe par le chalo kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi tohfa koi to us ke liye yar le chalo