rahbar-e-qaum samajh le ye haqiqat hai badi qaum chhoti hai magar is ki riwayat hai badi chadar-o-qamat-e-faruq pe rakhte hain nazar ehtisab un ka kada aur itaat hai badi rahbar badla to phir se safar aaghaz hua dasht-e-gum-rah mein is taur masafat hai badi kya idare the jo tute hain ana ki khatir un ki tafsil na puchho ye hikayat hai badi aaj bhi husn-e-bayan parda-e-amal bana aaj ke daur mein bhi harf ki taqat hai badi ahl-e-dil teri wafaon ki qasam khate hain bar-sar-e-ku-e-jafa bhi teri shohrat hai badi dard ki mauj ubharti hai tere nam ke sath duriyan lakh sahi pyar ki qurbat hai badi