ranj hai us ranj se hum ko to gham us gham se hai jo shikayat hum ko un se hai wo un ko hum se hai kya padi hai phir kisi ke waste rota hai kyun aabru-e-ishq apne dida-e-pur-nam se hai jhute munh koi tasalli bhi nahin deta kabhi phir ye kyun sahab salamat apni ek aalam se hai dushmanon ka do hi din mein sab bharam khul jaega un ki sari shan-o-shaukat ek mere dam se hai hath jode minnaten kin khair wo to man gae aur logon ko bhi ab aisi tamanna hum se hai is mazaq-e-khas ke bhi log dekhe hain kahin aap ki bhi jaan-pahchan aakhir ek aalam se hai sab safi' ki aah-e-pur-be-sakhta kahte hain wah us ka rona bhi magar kuchh tal se hai sam se hai