rukhsat-e-nutq zabanon ko riya kya degi dars haq-goi ka ye bint-e-khata kya degi sajda karti hai laimon ke daron par duniya be-niyazon ko ye be-sharm bhala kya degi yahi hoga ki na aaegi kabhi ghar mere mujh ko duniya-e-duni aur saza kya degi sal-ha-sal ke tufan mein bhi dil bujh na saka zak use sarkashi-e-mauj-e-hawa kya degi koi mausam ho mahakte hain yahan zakhm ke phul mere daman ko tahi-dast saba kya degi dil to kuchh kahta hai par sharm se uthte nahin hath dekhna hai ki ye be-dast dua kya degi khwahish-e-marg hai kuchh pane ki mauhum ummid zindagi de na saki kuchh to qaza kya degi khwab dekhe hain to bedar raho umr tamam chashm-e-khwabida ko tabir-e-sila kya degi isi zindan mein ab kat do umr apni 'wahid' main na kahta tha tumhein qaid-e-wafa kya degi