shamil-e-karwan na tha rahguzar tha ajab rah mein bhi ghubar tha sar pe bar tha ajab pesh-e-nazar khadi rahi manzil-e-justuju magar hath mein bhi sakat na thi panw mein khar tha ajab haar jo dusron ke the sanp ki misl to na the tum ne mere gale mein jo dala wo haar tha ajab mere labon pe dahr ka shikwa jo tha fuzul tha chunki darun-e-dil mujhe dair se pyar tha ajab tul-e-shab-e-firaq si donon ki umr-e-dosti 'jamid'-e-zinda-tab-e-rasa us ka bhi yar tha ajab