sikhaya aql ne barson hamein ilm-o-hunar sab kuchh jo socha to junun hi tha junun se beshtar sab kuchh agar ek tu nahin to mere qabze mein nahin kuchh bhi agar tu hai to hai pokhraj aur lal aur guhar sab kuchh nazar aaya hamein asli thikana muddaa asli jab aankhen band kar lin nek aur bad dekh kar sab kuchh mera sar phodna rona tadapna ghash pe ghash aana bata dena zabani bhi unhen ai nama-bar sab kuchh mohabbat hai to phir sabr-o-sukun hosh-o-khirad kya hain lutae ja tu is maidan mein ai sahib-nazar sab kuchh hua jo kuchh tha mere pas nazr-e-khana-virani dil-e-mohkam dimagh-e-ala-tar sangin jigar sab kuchh mata-e-ranj-o-gham ganjina-ha-e-hasrat-o-hirman mohabbat mein bhala kya kuchh nahin hai mere ghar sab kuchh mata-e-husn se ek zarra wo 'nayab' agar de de utha dun shash-jihat na aasman shams-o-qamar sab kuchh