rahne ko sirf jism tha zer-e-zamin raha jo kuchh tha mere pas yahan ka yahin raha logon ka kya hai un ka rawayya yahi to hai aisa nahin raha kabhi waisa nahin raha ho mushkilon ka daur ki khushiyon ka silsila har haal mein mujhe to usi par yaqin raha dil mein hi rah gai hai talab us ke did ki parda-nashin to aaj bhi parda-nashin raha us ko bada ghurur tha mastana chaal par thokar lagi phir aisi kahin ka nahin raha aawargi ne sath nahin chhoda umr-bhar main aur mera zehn kahin dil kahin raha jitni kahaniyan thin faqat raston ki thin manzil pe aa ke lutf hi baqi nahin raha milne ki aas aakhiri-dam tak bani rahi be-jaan jism tha mera zinda yaqin raha