rahne walon ko tere kuche ke ye kya ho gaya mere aate hi yahan hangama barpa ho gaya tera aana tha tasawwur mein tamasha shama-ru mere dil par raat parwanon ka balwa ho gaya zabt karta hun wale is par bhi hai ye josh-e-ashk gir pada jo aankh se qatra wo dariya ho gaya is qadar mana bura main ne adu ka sun ke nam aakhir us ki aisi baaton ka tamasha ho gaya kya ghazab hai iltija par maut bhi aati nahin talkh-kaami par hamari zahr mitha ho gaya dekh yun khana-kharabi ghair wan qabiz hua jis ke ghar ko hum ye samjhe the ki apna ho gaya