sadiyon ke baad hosh mein jo aa raha hun main lagta hai pahle jurm ko dohra raha hun main pur-haul wadiyon ka safar hai bahut kathin le ja raha hai shauq chala ja raha hun main khali hain donon hath aur daman bhi tar tar kyun ek musht-e-khak pe itra raha hun main shauq-e-visal-e-yar mein ek umr kat di ab baam o dar saje hain to ghabra raha hun main shayad waraq hai padh liya koi hayat ka ban kar faqih-e-shahr jo samjha raha hun main sahil pe baitha dekh ke maujon ka iztirab uljhi hui si gutthiyan suljha raha hun main