tamam husn-o-maani ka rang udne laga khili jo dhup to pani ka rang udne laga ishaara karti hain chehre ki jhurriyan chup-chap to kya badan se jawani ka rang udne laga jadid rang mein aaya jo misra-e-ula hasad se misra-e-sani ka rang udne laga kitab-e-zist ke mafhum ko samajhte hi yahan bade bade gyani ka rang udne laga jo daimi tha wahi rah gaya hai zehnon mein jo aarzi tha kahani ka rang udne laga meri nazar se mili 'faiz' jab nazar us ki to mere dushman-e-jaani ka rang udne laga